|
In the name of Allah, most beneficent, most merciful |
Shabih-e-Payambar(SAW) Akbar(AS),
Nauha Kare Maa
Shabih-e-Payambar Akbar(AS), Nauha Kare Maa X 2
Shah(AS) Ka Dilbar Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Shabih-e-Payambar(SAW) Akbar(AS), Nauha Kare Maa

Armaan Bohat Tha Main Tere Shadi Racha'oon X 2
Ek Roz Dulhan Chand Si Main Bayaah Kai Laa'oon X 2
Bayaah Kai Laa'oon
Par Laash Pe Roti Hai Tere Kook Jali Maa
Shabih-e-Payambar Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Shah(AS) Ka Dilbar Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Zinda Thay Tumhe Dekh Ke Ab Kaise Jeeyenge X 2
Socha Tha Teray Bay'aah Ki Poshak Seeyenge X 2
Poshak Seeyenge
Par Tujh Ku Kafan Bhi Na Mila Haaye Meri Jaan
Shabih-e-Payambar(SAW) Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Shah(AS) Ka Dilbar Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Roti Hai Phuphi Jis Nay Tumhe Laad Say Pala X 2
Tum Kya Gaye Rukhsat Huwa Is Ghar Say Ujala X 2
Is Ghar Say Ujala
Ek Baap Za'iefe Main Huwa Be Sar-o-Samaan
Shabih-e-Payambar(SAW) Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Shah(AS) Ka Dilbar Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Mar Jaaye Jawaan Lal Agar Dour Watan Say X 2
Mahroom Ho Ghurbat Kay Sabab Gor-o-Kafan Say X 2
Gor-o-Kafan Say
Tar'pata Hai Is Waqt mein Kya Tangi-e-Damaan
Shabih-e-Payambar(SAW) Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Shah(AS) Ka Dilbar Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Abbas(AS) Ka Sadma Bhi, Abhi Kam Na Huwa Tha X 2
Aisay Mein Meri Jaan Tera Waqt-e-Ajal Aaya X 2
Waqt-e-Ajal Aaya
Tum Margayai Kyon Mar Na Gaye Lal Teri Maa
Shabih-e-Payambar(SAW) Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Shah(AS) Ka Dilbar Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Bemaar Behan Takti Hai Beta Tera Rasta X 2
Pardes mein Aaye To Raha Yaad Na Waa'da X 2
Yaad Na Waa'da
Maqtal Kiya Abad Madina Kiya Wiraan
Shabih-e-Payambar(SAW) Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Shah(AS) Ka Dilbar Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Phir'ta Hai Meri Aankh mein Ab Tak Wohi Manzar X 2
Ay Jaan-e-Pader Noor-e-Nazar Ay Ali Akbar(AS) X 2
Ay Ali Akbar(AS)
Hamshakl-e-Nabi(SAW) Kehte Thay Tum Ku Shah-e-Zeeshaan(AS)
Shabih-e-Payambar(SAW) Akbar, Nauha Kare Maa
Shah(AS) Ka Dilbar Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Pyasay Thay Bohat Pyaas Yeh Kis Tarhaan Bujhaai X 2
Is Chaand Say Sennay Pay Sinaa Zulm Ki Khayi X 2
Zulm Ki Khayi
Tum Soute Ho Maa Jaati Hai Beta Suie Zindaan
Shabih-e-Payambar(SAW) Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Shah(AS) Ka Dilbar Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Allah(SWT) Nigehban Tumhara Mere Pyaare X 2
Hum Logh Rasan Basta Sue Shaam Sidhare X 2
Shaam Sidhare
Souta Hai Teray Saath Yahin Asghar-e-Naadan(AS)
Shabih-e-Payambar(SAW) Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Shah(AS) Ka Dilbar Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Rehan Yeh Kya Khob Likha Ghum Ka Fasana X 2
Zahra(SA) Nay Tujhe Bakhsha Hai Lafzoon Ka Khazana X 2
Lafzoon Ka Khazana
Lay Hogaya Bakhshish Kaa Tere Hashr Mein Samaan
Shabih-e-Payambar(SAW) Akbar(AS), Nauha Kare Maa
Shah(AS) Ka Dilbar Akbar(AS), Nauha Kare Maa
ALLAHUMMA SALLE
ALA MUHAMADDIN WA AALE MUHAMMAD(AS)
| |
 |
 |
|