|
In the name of Allah, most beneficent, most merciful |
Itni Ghareeb Ho gaye Gham Youn Lippat gaaye
Itni Ghareeb Ho gaye Gham Youn Lippat gaaye X 4
Zainab(SA) Kay ek libas mein do saal kat gaaye
Itni Ghareeb Ho gaye Gham Youn Lippat gaaye X 2

Zainab(SA) ka dil bhi kya hai ghamoon ki kitab hai X 2
Ek dil Mein Us Ghareeb kay sou gham simmat gaaye
Itni Ghareeb Ho gaye Gham Youn Lippat gaaye X 2
Zainab(SA) Kay ek libas mein do saal kat gaaye
Kaisay utha Sakein gay bhala laash ko Hussain(AS) X 2
Aa'zaa Hassan(AS) kay Lal kay tukdroon mein bat gaaye(sadqay)
Itni Ghareeb Ho gaye Gham Youn Lippat gaaye X 2
Zainab(SA) Kay ek libas mein do saal kat gaaye
Hath'oon say Maa kay khaimay ka perda ullat gaya X 2
Hath'oon pay Sheh(AS) kay jis gharri Asghar(AS) pallat gaaye
Itni Ghareeb Ho gaye Gham Youn Lippat gaaye X 2
Zainab(SA) Kay ek libas mein do saal kat gaaye
Kya kya guzar chuke hai Muharram kay chand mein X 2
Saydaniyoon(SA) kay bakht achanak ullat gaaye
Itni Ghareeb Ho gaye Gham Youn Lippat gaaye X 2
Zainab(SA) Kay ek libas mein do saal kat gaaye
Boolay Hussain(AS) Bayti say pani na mangna X 2
Jin bazoo'yoon pay mashq thi Woh Bazoo kat gaaye
Itni Ghareeb Ho gaye Gham Youn Lippat gaaye X 2
Zainab(SA) Kay ek libas mein do saal kat gaaye
Marnay Chalay Hussain(AS) to rahwaar ruk gaya X 2
Do nanhay nanhay Hath samou say Lipat gaaye
Itni Ghareeb Ho gaye Gham Youn Lippat gaaye X 2
Zainab(SA) Kay ek libas mein do saal kat gaaye
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMADDIN WA AALE MUHAMMAD(AS)