In the name of Allah, most beneficent, most merciful
Zuljana.com

Hussain(AS) Tayray Lahou' Ki Khushbo


Haqq Mola Hussain(AS)! Haqq Mola Hussain(AS)! X 2

Hussain(AS) Tayray Lahou'Ki Khushbo Falak Kay daman Say aa rahi Hai! X6

Yeh Khoon-e-Na-Haq Chupay ga Kyon-kar X 2
Jissay Yeh dunyia chupa rahi Hai


Yeh Sabr Tayra, Tayri Ibadat, Woh Rah-e-Haq mein Tayri Shahadat X 2
Woh Rah-e-Haq mein Tayri Shahadat
Tayri Sadaqat Ki Dastanein X 2
Zamanay bhar ko suna rahi Hain!
Hussain(AS) Tayray Lahou' Ki ... Say aa rahi Hai X2


Tamaam Alam ko yeh dikhaya katta kay gardan ko Dein Bachaya X 2
katta kay gardan ko Dein Bachaya
Magar yeh ummat abhi bhi Aale X 2
Nabi(SAW) Ko daykho sat'ta rahi hai
Hussain(AS) Tayray Lahou' Ki ... Say aa rahi Hai X2


Jawan Baytay ki Laash Laynay Chalay hain Maqtal ko Shah-e-Wa'la X 2
Chalay hain Maqtal ko Shah-e-Wa'la
Magger Zayeifi qadam qadam par X 2
Utha rahi hai, bitha rahi hai!(sadqay)
Hussain(AS) Tayray Lahou' Ki ... Say aa rahi Hai X2


Ghareeb Mola(AS) ki bay-kasi pay, Ghareeb Mola(AS) ki bay-basi pay X 2
Ghareeb Mola(AS) ki bay-basi pay
Abhi tal'laq woh Zameen-e-Karbal X 2
Laho kay aanso baha rahi hai!
Hussain(AS) Tayray Lahou' Ki ... Say aa rahi Hai X2


Barehna Ser Hai Ali(AS) Ki Bayti, Maggar wohi Azmat-e-Mohammad(SAW) X 2
Maggar wohi Azmat-e-Mohammad(SAW)
Woh jis Ki khatir Bharra howwa Ghar X 2
Louta kay Karbal say Aa rahi Hai!(sadqay)
Hussain(AS) Tayray Lahou' Ki ... Say aa rahi Hai X2


Jawan Baytay ki Laash Laynay Chalay hain Maqtal ko Shah-e-Wa'la X 2
Chalay hain Maqtal ko Shah-e-Wa'la
Magger Zayeifi qadam qadam par X 2
Utha rahi hai, bitha rahi hai!(sadqay)
Hussain(AS) Tayray Lahou' Ki ... Say aa rahi Hai X2


Yeh Khoon-e-Na-Haq Chupay ga Kyon-kar X 2
Jissay Yeh dunyia chupa rahi Hai

ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMADDIN WA AALE MUHAMMAD(AS)