|
In the name of Allah, most beneficent, most merciful |
Salwat-O-Salam Aap Pay Ya Fatima
Zahra(SA)
Salwat-O-Salam aap pay Ya Fatima Zahra(SA)--chorus
Hum aaye hain pursay kayliye Fatima Zahra(SA)--chorus
Hum daytay hain pursah tumhe Abbas-e-jari(AS) ka
Aur Akbar-e-dilgeer(AS) ka Ya Fatima Zahra(SA)
Salwat-O-Salam aap pay Ya Fatima Zahra(SA)--chorus
Hum aaye hain pursay kayliye Fatima Zahra(SA)--chorus
Zainab(SA) kay pisar Aun-O-Mohammed(AS) ka bhi pursah
Aur Asghar-e-baysheer(AS) ka Ya Fatima Zahra(SA)
Salwat-O-Salam aap pay Ya Fatima Zahra(SA)--chorus
Hum aaye hain pursay kayliye Fatima Zahra(SA)--chorus
Abbas(AS) jo Lashkar ka tha Sarwar(AS) kay Alamdar
Derya pay ussay qatal kiya Fatima Zahra(SA)
Salwat-O-Salam aap pay Ya Fatima Zahra(SA) --chorus
Hum aaye hain pursay kayliye Fatima Zahra(SA)--chorus
Pamaal kiya Qasim-e-baypar ki laash ko
Kubra(SA) ko bhi Baywa kiya Ya Fatima Zahra(SA)
Salwat-O-Salam aap pay Ya Fatima Zahra(SA) --chorus
Hum aaye hain pursay kayliye Fatima Zahra(SA)--chorus
Kanoon say Sakina(SA) kay otta'ray gaye gauhar
Zainab(SA) ki bhi cheyni hai Rida Fatima Zahra(SA)
Salwat-O-Salam aap pay Ya Fatima Zahra(SA) --chorus
Hum aaye hain pursay kayliye Fatima Zahra(SA)--chorus
Bayrdee pehna'yee dohri badan zakhmi kar diya
Sajjad(AS) pay yeh zulm kiya Fatima Zahra(SA)
Salwat-O-Salam aap pay Ya Fatima Zahra(SA) --chorus
Hum aaye hain pursay kayliye Fatima Zahra(SA)--chorus
ALLAHUMMA SALLE ALA
MUHAMADDIN WA AALE MUHAMMAD(AS)