In the name of Allah, most beneficent, most merciful
Zuljana.com

Sakina(SA) ki Sada Hai...Ar'ray O' Sham Waloon!


Sakina(SA) ki Sada Hai
Ar'ray O' Sham Waloon! Ar'ray O' Kufay Waloon!

Ar'ray O' Sham Waloon! Ar'ray O' Sham Waloon!
Kafan Baba ko day do X 2
Ar'ray O' Sham Waloon!

Mayray Pyaray jo Ammo aaj hotay
Kabhi na is qadr majboor hotay
gaddaye ker kay latay
magar tum say na kehtay
Ar'ray O' Sham Waloon! Kafan Baba ko day do


Chacha ka Ser yeh nayzay say hatta do
Ser-e-Shabbir(AS) pay perda urra do
Yeh gham kitna barra hai
Mayri Maa' Bay-Rida Hai
Ar'ray O' Sham Waloon! Kafan Baba ko day do


Mein Khatoon-e-Jinnah ka aaina Hoon
Rasn basta, aseer-o-bay-khata Hoon
Mayri jaanib na daykho
Mayra kurta phatta hai
Ar'ray O' Sham Waloon! Kafan Baba ko day do


Woh seena Mayray Baba ka kahan Hai
Suna hai bar-ser-e-raigh-e-tap'paan hai
Nahi Haaye Woh Seena
Kahan souye Sakina(SA)
Ar'ray O' Sham Waloon! Kafan Baba ko day do


Mayray ghar ki kaneezein ba-rida hain
Qayamat ho gaye Hum Bay-Rida Hain
Sitam kitna barra hai
Phophi ka Ser kho'la hai
Ar'ray O' Sham Waloon! Kafan Baba ko day do


Yateemoon ko sattana kab rawaan hai
Dukhay dil ko dukha'na kab rawaan hai
Sitam jo cha'hay kar Lo
Maghar ek kaam kar do
Ar'ray O' Sham Waloon! Kafan Baba ko day do


Rehaa'ye ki tamanna mer chuki hai
Yeh Zindaan Mayri Manzil akhari hai(sadqay)
Maghar Baba say kehna
Ab aana Sham aana (sadqay)
Ar'ray O' Sham Waloon! Kafan Baba ko day do


Karo Rehan-o-Sarwer aah-o-zaa'ri
Sakina(SA) nay woh shab kaisay guzari
Tha Ser goudi Mein Sheh(AS) ka
Laboon per tha yeh noha
Ar'ray O' Sham Waloon! Kafan Baba ko day do
Ar'ray O' Sham Waloon! Kafan Baba ko day do

 

ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMADDIN WA AALE MUHAMMAD(AS)