|
In the name of Allah, most beneficent, most merciful |
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) Hoon
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) Hoon Mayray sar pay Rida koi nahi Bazar-e-jafa x4
Majma hai kofiyoon ka Mayray chalnay ki jaa koi nahi bazar-e-jafa
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) hoon Meray sar pe Rida koi nahi Bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) mayray sar say nau(9) baar chin'ni chadar,
Balway mein Nabi zadi phirwai gai dar dar,
Mil jaaye Rida mujh ko aur Mayri dua koi nahi bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) hoon Meray sar pe Rida koi nahi Bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) chaloun kaisay lakhoon hain tamashayi
Yaad aata hay rah rah kay Abbas(AS) mera bhai,
Faryad karoon kis say ab teray siwa koi nahi bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) hoon Meray sar pe Rida koi nahi Bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) Mayray dil ko yey dard sata'ta hay,
Sar Ghazi(AS) ka naizay say jab khak pe aata hay,
Sar Mayra khula daykhay gham is Say bardha koi nahi bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) hoon Meray sar pe Rida koi nahi Bazaar-e-jafa
Maloom hai aada ko Ghazi(AS) ki bahan Hoon mein,
Bay-dast hay woh Ghazi(AS) paband-e-rasan hoon Mein,
Yaad aayi Wafa Us ki jab paas raha koi nahi bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) hoon Meray sar pe Rida koi nahi Bazaar-e-jafa
Majboor hoon bay-bas hoon Mein ro bhi nahin sakti,
Dur'roon ki aziyat say Mein so bhi nahin sakti,
Is darja musibat mein hamdard Mayra koi nahi bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) hoon Meray sar pe Rida koi nahi Bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) Tayri halat dekhi nahin jati hai,
Bay parda mujhay daykhay yey baat rulati hay,
Sajjad(AS) Tayri tarhaan kantoon pe chala koi nahi bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) hoon Meray sar pe Rida koi nahi Bazaar-e-jafa
Maut aaye gi zindaan mein Mayri Bali Sakina(SA) ko,
kya jaa kay bataoungi Bimar-e-Madina ko,
Gham dil pe uthanay ko ab baqi bacha koi nahi bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) hoon Meray sar pe Rida koi nahi Bazaar-e-jafa
Jaata hay suye zindaan ab kunba Muhammad(SAW) ka,
Rassi mein bandhay Qaidi kantoon say bharra rasta,
Ummat nay sitam dhaaye qismat say ghil'la koi nahi bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) hoon Meray sar pe Rida koi nahi Bazaar-e-jafa
Bazar-e-sitam mein tha Zainab(SA) ka ajab aa'lam,
Mazhar mein likhoon kaisey zalim nay kaha jis dam,
Hai kaun tera waris Zainab(SA) Nay kaha koi nahi bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) hoon Meray sar pe Rida koi nahi Bazaar-e-jafa
Majma hay kofiyoon ka meray chalnay ki jaa koi nahi bazaar-e-jafa
Sajjad(AS) Mein Zainab(SA) hoon Meray sar pe Rida koi nahi Bazaar-e-jafa
ALLAHUMMA SALLE ALA
MUHAMADDIN WA AALE MUHAMMAD(AS)