In the name of Allah, most beneficent, most merciful
Zuljana.com

Rida Hai Ser Pay Na Bhai Ka Ser Pay Saa'ya Hai


Haaye Haaye Zainab(SA) Haaye Haaye Sham X 3

Rida Hai Ser Pay Na Bhai Ka Ser Pay Saa'ya Hai X 4
ILLahi Khair Ho Bazaar-e-Sham Aa'ya Hai X 2

Jawaab do Mujhay insaaf say Musalmanoon
Yeh kis Nabi kay Nawasay ka Ser Hai Pehcha'no
Sin'na ki nouk pay kis jurm mein Charha'ya hai(sadqay)
Rida Hai Ser Pay Na Bhai Ka Ser Pay Saa'ya Hai X 2
ILLahi(SWT) Khair Ho Bazaar-e-Sham Aa'ya Hai X 2


Pukarti Hai yeh Fizza(sa) kahan Gaaye Abbas(AS)
Bulaye Akbar-o-Qasim(AS) Ko koi Mayray paas
Rasool Zadi(SA) ko balway mein shimr(la) la'ya hai
Rida Hai Ser Pay Na Bhai Ka Ser Pay Saa'ya Hai X 2
ILLahi(SWT) Khair Ho Bazaar-e-Sham Aa'ya Hai X 2


Woh aag Ahle Saqeefa kay thi jo dil mein laggi
Wohi to Karbobala mein hai phoot ker niqli
Ussi nay Aal-e-Mohd(AS) ka Ghar jalla'ya hai
Rida Hai Ser Pay Na Bhai Ka Ser Pay Saa'ya Hai X 2
ILLahi(SWT) Khair Ho Bazaar-e-Sham Aa'ya Hai X 2


Jawaab do Mujhay insaaf say Musalmanoon
Yeh kis Nabi kay Nawasay ka Ser Hai Pehcha'no
Sin'na ki nouk pay kis jurm mein Charha'ya hai(sadqay)
Rida Hai Ser Pay Na Bhai Ka Ser Pay Saa'ya Hai X 2
ILLahi(SWT) Khair Ho Bazaar-e-Sham Aa'ya Hai X 2


Mein janta hoon zara tum bhi jaan lo us-ko
dar-e-Bahisht pay Rizwaan kahay ga woh daykho
Basheer jafri noha sunnanay aaya hai
Rida Hai Ser Pay Na Bhai Ka Ser Pay Saa'ya Hai X 2
ILLahi(SWT) Khair Ho Bazaar-e-Sham Aa'ya Hai X 2

 

ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMADDIN WA AALE MUHAMMAD(AS)