| In the name of Allah, most beneficent, most merciful |
| Zuljana.com |
Mein soochta hoon keh Abid(AS) ka
haal kiya ho ga
Mein soochta hoon keh Abid(AS) ka haal kiya ho ga
Aseer ho kay Woh jab Sham mein gaya ho ga
Suna hai Sham mein jatay hi khoon ronay lagga (x2)
Na janay shimer(la) na us waqt kya kaha ho ga(sadqay)
Mein soochta hoon keh Abid(AS) ka haal kiya ho ga
Aseer ho kay Woh jab Sham mein gaya ho ga
Gallay kay Tauoq nay Abid(AS) ko kya jhokkana tha (x2)
Woh apnay khoye howay Lal dhondhta Ho ga
Mein soochta hoon keh Abid(AS) ka haal kiya ho ga
Aseer ho kay Woh jab Sham mein gaya ho ga
Lut gaye Sham mein Zainab(SA), Kalsoom-o-Rubab(SA) (x2)
Jab Sakina(SA) kay Janazay ko uthhaya ho ga
Mein soochta hoon keh Abid(AS) ka haal kiya ho ga
Aseer ho kay Woh jab Sham mein gaya ho ga
Maut Akbar(AS) ki jawani pay khardhi routi thi (x2)
Jawan Baytay ka La'asha na jab utha'a ho ga
Mein soochta hoon keh Abid(AS) ka haal kiya ho ga
Aseer ho kay Woh jab Sham mein gaya ho ga
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMADDIN WA AALE MUHAMMAD(AS)
|
|