|
In the name of Allah, most beneficent, most merciful |
Kufe ka aur shaam ka manzar
Kufe ka aur shaam ka manzar X 3
Yaad jab aajata hai baba X 2
dil mera phat jaata hai baba
Kufe ka aur shaam ka manzar X 2
Qabr pe Shabbir(AS) ki karte thay Abid(AS) buka X 2
Hogayi kya kya jafa, suniye Shah-e-karbala X 2
Sar pe kisi ke na thi chadar
Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar
Ek rasan mein bandhay chotay baroon kay gale, X 2
Barsare darbar sab is tarhaan laaye gaye, X 2
Kothe se barsaat the pathar,
dil mera phat jaata hai baba,
Yaad jab aajata hai baba, dil mera phat jaata hai Baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar
Kufe kay bazaar mein majma-e kuf'faar mein, X 2
Ek tamasha sa tha, aale sitam gaar me, X 2
Aisay mein Maa Behnein khule sar,
Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai Baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar
Taouq se hargiz na tha Baba Mera sar jhuka, X 2
Hath-kari aur bayri ka koi mujhe gham na tha, X 2
Arey dekha nahi jata tha manzar,
Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar
Lay gaaye jab Hamein Bazam-e-sitamgaar(LA) mein X 2
Paas to Kursi na thi baythay thay darbar mein X 2
takht pay baytha tha sitamghar
Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar
Arey bali Sakina(SA) ka gham dil ye nahi bholta, X 2
Sab ke thay shaanay bandhe uska bandha tha galaa, X 2
Arey dard se wo roti thi Muztar,
Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai Baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar
Mayri Phophi Jaan thien balway mein jo Ser kholay X 2
Nayzay say Ammo Mayray Farsh pay ghir pertay thay X 2
Arey Haaye Chacha Jaan ka Safar
Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar
Jab kiya Sajjad(AS) Say aa kay kisi Nay Sawaal X 2
Guzra kahan per Imam aapko ziyada Malaal X 2
Kehtay Thay As-Sham Muqarar
Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar
Maktal-o-tarikh bhi kar na sakay haq ada, X 2
Likha Anees-e-hazeen girya-e Abid(AS) ko kiya, X 2
Arey kahte the ye Abid-e-Muztar,
Yaad jab aajata hai baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar
ALLAHUMMA SALLE ALA
MUHAMADDIN WA AALE MUHAMMAD(AS)