|
In the name of Allah, most beneficent, most merciful |
Jab Hussaina(AS) Ki Sada Kanoon Say
Takrati Hai
Jab Hussaina(AS) Ki Sada Kanoon Say Takrati Hai
Kya batta'yoon mayra dil tukray keeye jati Hai!
Jab howe Sham kay Zindaan mein Qayamat barpa (x2)
Bibiyian Seena-o-Ser peet kay Kerti thien buqa'a
Aa kay kuch logoon nay derwazay pay Abid(AS) say kaha
Kya howe taaza jaffa rotay Hain jo Aal-e-Aba'a
Is say phehlay na sunni is tarhaan Firyaad-o-Fughaan (1+1+1)
Kya kisi qaidi nay is qaid mein dum taur diya (1+2)
Ro kay Abid(AS) Nay diya Sham ka logoon ko Jawaab
Mayri Masoom Bahan nay abhi Daykha hai Khawaab
Ho kay Baydaar Woh Baba kay liye hai bay-taab
Laakh behlatay Hain par Woh nahin paati Hai taab
Woh Jo routi Hai to Sab Ahle Harram Rotay Hain (1+1+1)
Apni majboori-o-mahsoori pay Jaan Khootay Hain (1+2)
Woh yeh Kehti hai keh Baba say mila do Mujh-ko
Marti Hoon Sham kay Zindaan mein jil'la do Mujh-ko
Is aseeri ki Jaffa'yoon say chaurdha do Mujh-ko
Mayray bichray Howay Baba ko dikha do Mujh-ko
Is andheray mein Tassali Woh Mujhay daytay thay (1+1+1)
Aa'ye thay Baba Mayray paas yahan Baythay thay (1+2)
Dar-e-Zindaan say Yahaan kertay thay Abid(AS) yeh buqa'a
Hind nay poocha kaneezoon say Mahal mein yeh Wahaan
Jay kay daykho to kahan hota hai yeh shor-o-fughaan
Sun kay yeh Aah-o- Buqa'a ter hai hamara larza
Jab Hussaina(AS) Ki Sada Kanoon Say Takrati Hai (1+1+1)
Kya batta'yoon mayra dil tukray keeye jati Hai! (1+2)
Al-garz phaunchee joun'hi Hind Dar-e-Zindaan per
Kuffal Zindan ka darbanoon nay khola barh ker
Qaid khanay mein jo dakhil howe woh naik see'yar
Jakrdha zanjeeroon say Ek Qaidi ussay aaya nazar(sadqay)
Rukh partay hi nazar ho gaye hayraan shashder (1+1+1)
Dil mein kehnay laggi ho khair Ay Rab-e-Akbar(SWT) (1+2)
Kis qadr Noor hai is Qaidi kay Rukh par Wallah!
Shakl Sourat say Yeh laghta hai Ali(AS) ka Pota
Phir kaha dil say tu kyon sochta hai aisa
Mayri aankhoon ki yeh beenayee ki shayad hai khat'ta
Ibne Shabbir(AS) hai Sajjad(AS) Woh Shahzada Hai! (1+1+1)
Aisay jakrdhay gay Musalmaan Woh NabiZada(AS) Hai (1+2)
Londiyaan mash'alein thamay howay kuch aaghay barheen
Daykha yeh Hind nay kuch Bibiyian Hai Khak Nasheen(sadqay)
Ser pay Chadar nahin Baloon say chupa'yein Hain Jabeen(sadqay)
Noor Chehroon pay barsaata hai keh Arsh Makein
Jis taraf Hind ki Zindaan mein nazar jati hai (1+1+1)
Koi Zainab(SA)-o-Kalsoom(SA) nazar aati Hai (1+2)
Boli phir dil tham kay dil Bibiyoon itna to battayo
Kyun hai yeh Aah-o-Buqa Apna kuch ahwaal sunayo
Mugh say kya perda hai Chehroon say zara Baal hatayoo
Apnay in aanso'yoon ko roko Khuda-ra na bahayoo
Aap ko daykha jab say to nahin dil ko chayn (1+1+1)
Tukrdhay hota hai jiggar sunti hoon jab naam-e-Hussain(AS) (1+2)
Mujh ko lagta hai koi tum mein hai Bano(SA) Farwa(SA)
Woh jo dil pakrdhay hai Woh laghti hai Umm-e-Layla
Mehndi hai hathoon mein hai jis kay woh hai shakl-e-Kubra(SA)
Zoj-e-Abbas(SA) say milti hai woh Bibi Wallah!
Kis zubaan say kahoon jo daykhti hoon mein manzar (1+1+1)
Muh ko aa jaayein gay sadmay say mayray qalb-o-jiggar (1+2)
Hind kerti thi yahaan Bibiyoon say yeh guftaar
Maa'il-e-girya howe Bali Sakina(SA) ek baar
Daurdh ker Hind gaye Us kay qareeb halat-e-zaar
Gaud mein lay kay Sakina(SA) ko kiya us nay pyar
Boli taqleef hai kiya haal mayri jaan sunayo (1+1+1)
Routi ho kis liye kya chahyiye kuch hum ko battayo (1+2)
Dartay dartay yeh bayan Bali Sakina(SA) nay kaha
Qaid khanay mein abhi aaye thay Mayray Baba
Un kay hamrah thay bhayya Ali Akbar(AS)-o-Chacha
Aaye thay laynay Hamein chaurdh gaye phir tanha
Mugh say bichray howay Baba Mayray mil jaayein gay (1+1+1)
Mein bhi sau jaayoon gi yeh sab bhi sakoon paayein gay(sadqay) (1+2)
Zabt Zainab(SA) say nahin ho saka Bolien ro kar
Hind kya poochti hai kya nahin tugh ko khabar
katil-e-Hazrat-e-Shabbir(AS) hai tayra shauher
Baythi hai Gaud mein tayray yeh hai Sheh(AS) ki Dukhtar
Hind pehchaan lay Zahra(SA) ki Yehi Pauti hai (1+1+1)
Baap kay Ser kay liye routi hai jaan khauti hai(sadqay) (1+2)
Ab nahin taab-e-bayan dil mein Anees-e-Shabbir(AS)
Hia jo tarikh-o-Maqatil ki kutb mein tahreer
Hota hai tukrdhay jiggar pardh kay Buqa-e-Hamsheer(SA)
Khoon obalta hai qallam likhtay howay haal-e-Sagheer(SA)
Khatm karta hoon rawayat ko yeh ker kay noha (1+1+1)
Bayti ko Laynay Ser-e-Shah-e-Huda(AS) Aaya Tha(Sadqay Mola) (1+2)
Note:
(1+1+1) denotes---(nauha khawaan+chorus+nauha khawaan)
(1+2) denotes---(nauha khawaan+chorus)
ALLAHUMMA SALLE ALA
MUHAMADDIN WA AALE MUHAMMAD(AS)