| In the name of Allah, most beneficent, most merciful |
| Zuljana.com |
Dil-band-e-Fatima(SA)
Maara gaya tashna dahan la'sha para tha baykafan (x2)
Dil-band-e-Fatima(SA) pay zalim rayhum na aaya (x2)
Tashna labbi mein tou nay (x2)
mehman ka khoon bahaya
Dil-band-e-Fatima(SA) pay zalim rayhum na aaya (x2)
Bay-gaur -O- bay-kafan tha laasha shahe zaman ka (x2)
Ser nok-e-naiza par hai (x2)
darbar-e-shaam aaya
Dil-band-e-Fatima(SA) pay zalim rayhum na aaya (x2)
Abbas(AS) tum kahan ho lo khaimay jal rahe hain (x2)
Bay pardah Bibiyoon(SA) pay (x2)
hai aasmaan ka saaya
Dil-band-e-Fatima(SA) pay zalim rayhum na aaya (x2)
Asghar(AS) to bayzabaan tha laykin tha khoon-e-haider(AS) (x2)
Hurmal(la) nay teer khayncha (x2)
Masoom(as) musku'raya
Dil-band-e-Fatima(SA) pay zalim rayhum na aaya (x2)
Bazaar shaam mein jab aaye Ali(AS) ki Bayti (x2)
Toufan pat'tharoon ka (x2)
charoon taraf say aaya(sadqay)
Dil-band-e-Fatima(SA) pay zalim rayhum na aaya (x2)
Abbas(AS) tum kahan ho lo khaimay jal rahe hain (x2)
Bay pardah Bibiyoon(SA) pay (x2)
hai aasmaan ka saaya
Dil-band-e-Fatima(SA) pay zalim rayhum na aaya (x2)
Quran(Majeed) parhnay walay woh kaisay musalmaan thay (x2)
Tasweer-e-Fatima(sa) ko (x2)
darbar mein bola'ya
Dil-band-e-Fatima(SA) pay zalim rayhum na aaya (x2)
Gulzar Kerbala mein aaye Quran waalay (x2)
Afsoos baykasoon ko (x2)
pani mila na saaya
Dil-band-e-Fatima(SA) pay zalim rayhum na aaya (x2)
Tashna labbi mein tou nay (x2)
mehman ka khoon bahaya
Dil-band-e-Fatima(SA) pay zalim rayhum na aaya (x3)
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMADDIN WA AALE MUHAMMAD(AS)
|
|